Socha tha... (In Hindi)
Socha tha..... waha jiyunga.
socha tha mainey..... woh paney ke baad jiyunga.
Ke kal jiyunga..... parso jiyunga.
Socha tha ki… kathinaiya duur hone ke baad jiyunga kabhi.
Socha tha mainey..... mein bhi jiyunga abhi.
Akhir mein pata chala muzey....
mere paas, sirf ek pal hain jeene ke liye...
Aur yehi ek pal hain jeeneh ke liye, woh hain: abhi, issi wakt!
Socha tha mainey..... najane kya kya kabhi...
Par yaaron, muzey abhi pata chala ....
Inh kathinayionko sulzana he hain jindagi ka duusra naam..
Socha tha mainey..... kuch aur, par yehi hain baat sahi!
Socha karta tha mein bhi kabhi..... mein bhi jiyunga abhi...
Ab jindagi jeene se, khush hone se,
aur hasi majak se phursat he nahi milti!
Aisi jindagi jeeneh ka mein socha karta tha kabhi.....
Kisi aur pal ke baare mein sochneki phursat nahi milti abhi!
Har pal,har ek pal... bass khush hain sabhi!
-Omkar Nisal November 20, 2005
0 Comments:
Post a Comment
<< Home